Kabhi kasak judaai ki kabhi mahak wisaal ki,
Qadam na the zameen pe jab wo umr thi kamaal ki..
Kayi dino'n se fikr ka ufuq udaas udaas hai,
Na jaane kho gayi kahaan dhanak tere khyaal ki..
Rafaqaton ke wo nishaan na jaane kho gaye kahaan,
Wo khushbuon ki rahguzar wo ratjagon ki paalki..
Kisi ko kho ke pa liya kisi ko pa ke kho diya,
Na intiha khushi ki hai na intiha malaal ki..
Wo raushni ka khwab tha magar wahi saraab tha,
Urooj mein chhupi hui thi ibtida zawaal ki.!!
"Iqbal Ashhar"
No comments:
Post a Comment