Dayaar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai,
Main jis ki dastak ka muntazir tha mujhe wo lamha bula raha hai...
Phir adh-khula sa koi dareecha mere tasawwur pe chha raha hai,
Ye khoya khoya sa chaand jaise teri kahani suna raha hai...
Wo raushni ki talab mein gum hai main khushbuon ki talaash mein hun,
Main daayeron se nikal raha hun wo daayeron mein sama raha hai...
Wo kam-sini ki shafeeq yaadein gulaab ban kar mahak uthi hain,
Udaas shab ki khamoshiyon mein ye kaun lori suna raha hai...
Suno samandar ki shokh lahro hawaaen thehri hain tum bhi thehro,
Wo door saahil pe ek bachcha abhi gharaunde bana raha hai.!!
"Iqbal Ashhar"
No comments:
Post a Comment