* Nazm *
__________
Faza mein dard-aagi'n geet lahraye to aa jaana..
Sukoot-e-shab mein koi aah tharraye to aa jaana..
Jahaan ka zarra zarra yaas barsaye to aa jaana..
Dar-o-deewar par andoh chha jaaye to aa jaana..
Samajh lena koi ro ro ke tujh ko yaad karta hai..
Samajh lena koi ghum ka jahaan aabaad karta hai..
Koi taqdeer ka maara hua fariyaad karta hai..
Teri aankhon mein ashk-e-ghum utar aaye to aa jaana..
Dilo'n ko gudgudaye jab tarannum aabshaaron ka..
Ghata barsaat ki jab choom le munh kohsaaron ka..
Mulaqaaton ke jab din hon zamana ho bahaaron ka..
Bahaar-e-gul mulaqaaton pe uksaye to aa jaana..
Zamana mushkilon ke jaal phailaye to phailaye..
Qadam badhte rahein be-dard duniya laakh bahkaye..
Samajhte hain kahin deewangan-e-ishq samjhaye..
Tere honthon pe mera naam aa jaate to aa jaana..
Jhadi barsaat ki jab aag tan man mein lagati ho..
Gulo'n ko bulbul-e-nashaad haal-e-dil sunati ho..
Joi birhan kisi ki yaad mein aansu bahati ho..
Agar aise mein tera dil dhadak jaate to aa jaana.!!
"Rajendra Nath Rahbar"
__________
Dard-aagi'n = painful,
No comments:
Post a Comment