Tuesday, June 19, 2018

Mahtab Nahin Nikla Sitare Nahin Nikle

Mahtaab nahin nikla sitare nahin nikle,
Dete jo shab-e-ghum mein sahaare nahin nikle..

Kal raat nihatta koi deta tha sadaaen,
Hum ghar se magar khauf ke maare nahin nikle..

Kya chhorh ke basti ko gaya tu ke tere baad,
Phir ghar se tere hijr ke maare nahin nikle..

Baithe raho kuchh der abhi aur muqabil,
Armaan abhi dil ke humare nahin nikle..

Nikli to hain saj-dhaj ke teri yaad ki pariyaan,
Khwaabon ke magar raaj dulare nahin nikle..

Kab ahl-e-wafa jaan ki baazi nahin haare,
Kab ishq mein jaano'n ke khasare nahin nikle..

Andaaz koi doobne ke seekhe to hum se,
Hum doob ke dariya ke kinare nahin nikle..

Wo log ke the jin pe bharose humein kya kya,
Dekha to wahi log humare nahin nikle..

Ash'aar mein daftar hai maani ka bhi 'Rahbar',
Hum lafzon hi ke mahz sahaare nahin nikle.!!

"Rajendra Nath Rahbar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...