Ana hawas ki dukaanon mein aa ke baith gayi,
Ajeeb maina hai shikron mein aa ke baith gayi..
Jaga raha hai zamana magar nahin khultin,
Kahaan ki neend in aankhon mein aa ke baith gayi..
Wo faakhta jo mujhe dekhte hi udti thi,
Bade saleeqe se bachchon mein aa ke baith gayi..
Tamaam talkhiyan saaghar mein raqs karne lagin,
Tamaam gard kitaabon mein aa ke baith gayi..
Tamaam shahar mein mauzu-e-guftugu hai yahi,
Ke shahzaadi ghulaamon mein aa ke baith gayi..
Nahin thi doosri koi jagah bhi chhupne ki,
Humari umr khilaunon mein aa ke baith gayi..
Utho ke os ki boondein jaga rahi hain tumhein,
Chalo ke dhoop dareechon mein aa ke baith gayi..
Chali thi dekhne suraj ki bad-mizaaji ko,
Magar ye os bhi phoolon mein aa ke baith gayi..
Tujhe main kaise bataaun ke shaam hote hi,
Udaasi kamre ke taaqo'n mein aa ke baith gayi.!!
"Munawwar Rana"
____________________
Shikron = falcons,
____________________
انا ہوس کی دکانوں میں آ کے بیٹھ گئی
عجیب مینا ہے شکروں میں آ کے بیٹھ گئی..
جگا رہا ہے زمانہ مگر نہیں کھلتیں
کہاں کی نیند ان آنکھوں میں آ کے بیٹھ گئی..
وہ فاختہ جو مجھے دیکھتے ہی اڑتی تھی
بڑے سلیقے سے بچوں میں آ کے بیٹھ گئی..
تمام تلخیاں ساغر میں رقص کرنے لگیں
تمام گرد کتابوں میں آ کے بیٹھ گئی..
تمام شہر میں موضوع گفتگو ہے یہی
کہ شاہزادی غلاموں میں آ کے بیٹھ گئی..
نہیں تھی دوسری کوئی جگہ بھی چھپنے کی
ہماری عمر کھلونوں میں آ کے بیٹھ گئی..
اٹھو کہ اوس کی بوندیں جگا رہی ہیں تمہیں
چلو کہ دھوپ دریچوں میں آ کے بیٹھ گئی..
چلی تھی دیکھنے سورج کی بد مزاجی کو
مگر یہ اوس بھی پھولوں میں آ کے بیٹھ گئی..
تجھے میں کیسے بتاؤں کہ شام ہوتے ہی
اداسی کمرے کے طاقوں میں آ کے بیٹھ گئی..
No comments:
Post a Comment