Khizaa'n Ki Rut Mein Gulaab Lahja Bana Ke Rakhna, Kamaal Ye Hai

Khizaa'n Ki Rut Mein Gulaab Lahja Bana Ke Rakhna, Kamaal Ye Hai,
Hawa Ki Zid Pe Diya Jalana, Jala Ke Rakhna, Kamaal Ye Hai...

Zara Si Laghzish Pe Tod Dete Hain Sab Ta'alluq Zamaane Waale,
So Aise Waison Se Bhi Ta'alluq Bana Ke Rakhna, Kamaal Ye Hai...

Kisi Ko Dena Ye Mashwara Ke Wo Dukh Bichhadne Ka Bhool Jaaye,
Aur Aise Lamhe Mein Apne Aansu Chhupa Ke Rakhna, Kamaal Ye Hai...

Khyaal Apna, Mizaaj Apna, Pasand Apni, Kamaal Kya Hai,
Jo Yaar Chaahe Wo Haal Apna Bana Ke Rakhna, Kamaal Ye Hai...

Kisi Ki Raah Se Khuda Ki Khaatir Utha Ke Kaante Hata Ke Patthar,
Phir Us Ke Aage Nigaah Apni Jhuka Ke Rakhna, Kamaal Ye Hai...

Wo Jis Ko Dekhe To Dukh Ka Lashkar Bhi Ladkhadaye, Shikast Khaye,
Labo'n Pe Apne Wo Muskurahat Saja Ke Rakhna, Kamaal Ye Hai...

Hazaar Taaqat Ho, Sau Daleelein Hon Phir Bhi Lahje Mein Aajzi Se,
Adab Ki Lazzat, Duaa Ki Khushbu Basa Ke Rakhna, Kamaal Ye Hai.!!

خزاں کی رت میں گلاب لہجہ، بنا کے رکھنا کمال یہ ہے
ہوا کی زد پہ دِیا جلانا ، جَلا کے رکھنا، کمال یہ ہے

ذرا سی لغزش پہ توڑ دیتے ہیں سب تعلق زمانے والے
سو ایسے ویسوں سے بھی تعلق بنا کے رکھنا، کمال یہ ہے

کسی کو دینا یہ مشورہ کہ وہ دُکھ بچھڑنے کا بھول جائے
اور ایسے لمحے میں اپنے آنسو چھپا کے رکھنا، کمال یہ ہے

خیال اپنا ، مزاج اپنا ، پسند اپنی ، کمال کیا ہے!
جو یار چاہے وہ حال اپنا بنا کے رکھنا، کمال یہ ہے

کسی کی رہ سے خدا کی خاطر ، اٹھا کے کانٹے ، ہٹا کے پتھر
پھر اس کے آگے نگاہ اپنی جھکا کے رکھنا، کمال یہ ہے

وہ جس کو دیکھے تو دکھ کا لشکر بھی لڑکھڑائے ، شکست کھائے
لبوں پہ اپنے وہ مسکراہٹ سجا کے رکھنا، کمال یہ ہے

ہزار طاقت ہو، سو دلیلیں ہوں پھر بھی لہجے میں عاجزی سے
ادب کی لذت، دعا کی خوشبو بسا کے رکھنا، کمال یہ ہے...

Comments

Popular posts from this blog

Koi Aisa Jaadu Tona Kar

Bakht Ke Takht Se Yak-lakht Utara Hua Shakhs

Hum Ne Har Dukh Ko Mohabbat Ka Tasalsul Samjha