Monday, April 30, 2018

Khushbuon Ka Ek Nagar Aabaad Hona Chahiye

Khushbuon Ka Ek Nagar Aabaad Hona Chahiye,
Is Nizaam-e-zar Ko Ab Barbaad Hona Chahiye..

In Andheron Mein Bhi Manzil Tak Pahunch Sakte Hain Hum,
Jugnuon Ko Raasta To Yaad Hona Chahiye..

Khwahishon Ko Khoobsurat Shakl Dene Ke Liye,
Khwahishon Ki Qaid Se Aazaad Hona Chahiye..

"Ataaulhaq Qasmi"

خوشبوؤں کا ایک نگر آباد ہونا چاہیے
اس نظام زر کو اب برباد ہونا چاہیے

ان اندھیروں میں بھی منزل تک پہنچ سکتے ہیں ہم
جگنوؤں کو راستہ تو یاد ہونا چاہیے

خواہشوں کو خوبصورت شکل دینے کے لیے 
خواہشوں کی قید سے آزاد ہونا چاہیے​

عطاء الحق قاسمی

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...