Mohabbat se, inayat se, wafa se chot lagti hai,
Bikharta phool hun mujh ko hawa se chot lagti hai...
Meri aankhon mein aansu ki tarah ek raat aa jao,
Takalluf se, banawat se, ada se chot lagti hai...
Main shabnam ki zabaan se phool ki aawaz sunta hun,
Ajab ahsaas hai apni sada se chot lagti hai...
Tujhe khud apni majboori ka andaza nahin shayad,
Na kar ahd-e-wafa, ahd-e-wafa se chot lagti hai.!!
ﻣﺤﺒﺖ ﺳﮯ ﻋﻨﺎﯾﺖ ﺳﮯ-- ﻭﻓﺎ ﺳﮯ ﭼﻮﭦ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ
ﺑﮑﮭﺮﺗﺎ ﭘﮭﻮﻝ ﮨﻮﮞ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﮨﻮﺍ ﺳﮯ ﭼﻮﭦ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ
-----
ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺁﻧﺴﻮ ﮐﯽ ﻃﺮﺡ ﺍﯾﮏ ﺭﺍﺕ ﺁ ﺟﺎﺅ
ﺗﮑﻠﻒ ﺳﮯ ﺑﻨﺎﻭﭦ ﺳﮯ---- ﺍﺩﺍ ﺳﮯ ﭼﻮﭦ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ
----
ﻣﯿﮟ ﺷﺒﻨﻢ ﮐﯽ ﺯﺑﺎﻥ ﺳﮯ ﭘﮭﻮﻟﻮﮞ ﮐﯽ ﺁﻭﺍﺯ ﺳﻨﺘﺎ ﮨﻮﮞ
ﻋﺠﺐ ﺍﺣﺴﺎﺱ ﮨﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﺻﺪﺍ ﺳﮯ ﭼﻮﭦ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ
----
ﺗﺠﮭﮯ ﺧﻮﺩ ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺠﺒﻮﺭﯼ ﮐﺎ ﺍﻧﺪﺍﺯﮦ ﻧﮩﯿﮟ ﺷﺎﯾﺪ
ﻧﺎ ﮐﺮ ﻋﮩﺪ ﻭﻓﺎ , ﻋﮩﺪ ﻭﻓﺎ ﺳﮯ ﭼﻮﭦ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ...
No comments:
Post a Comment