Saturday, April 21, 2018

Chhorh Jaate Hain Sabhi Raah Mein Tanha Yaaro

Chhorh Jaate Hain Sabhi Raah Mein Tanha Yaaro,
Rasm-e-ulfat Mein Kahaan Rasm-e-wafa Hoti Hai..

Tum Jo Kahte Ho 'Kati Umr' Suno Nadaano,
Yaar Se Door Jo Kat Ti Hai Saza Hoti Hai..

Is Mein Alfaaz Na Sajde Ke Namaaz-e-ulfat,
Garmi-e-shauq Mein Ashko'n Se Ada Hoti Hai..

Baith Kar Baagh Mein Taaif Ke Wo Rahmat Waale,
De Gaye Dars Humein Aise Dua Hoti Hai..

Ma Ki Khidmat Mein Na Taqseer Gawara Saahib,
Rooth Jaata Hai Khuda Ye Jo Khafa Hoti Hai..!!

(Ibn E Muneeb)

چھوڑ جاتے ہیں سبھی راہ میں تنہا یارو!
رسمِ اُلفت میں کہاں رسمِ وفا ہوتی ہے

تم جو کہتے ہو "کٹی عمر" ، سُنو نادانو!
یار سے دُور جو کٹتی ہے "سزا" ہوتی ہے

اِس میں الفاظ نہ سجدے، کہ نمازِ اُلفت
گرمیء شوق میں اشکوں سے ادا ہوتی ہے

بیٹھ کر باغ میں طائف کے، وہ رحمت والاﷺ
دے گیا درس ہمیں ایسے دُعا ہوتی ہے!

ماں کی خدمت میں نہ تقصیر گوارا صاحِب
رُوٹھ جاتا ہے خدا، یہ جو خفا ہوتی ہے-

اِبنِ مُنیب

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...