Zulf lahra ke faza pahle moattar kar de,
Jaam phir aankhon ke may-khane se bhar bhar kar de,
Bujh gayi shama ki lau tere dupatte se to kya,
Apni muskaan se mahfil ko munawwar kar de,
Hosh to ud gaye aankhon se hi pi kar saaqi,
Ab zara wo bhi pila de jo gala tar kar de,
Ghair ko munh na laga hosh mein hun jab tak main,
Itna ehsaan mere saaqiya mujh par kar de,
Be-murawwat hain bade pi ke bhi hain hosh mein jo,
Aise may-khwaron ko may-khane se baahar kar de,
Sheyr mein saath rawaani ke maani bhi to bhar,
Ai 'Sada' qaid tu kooze mein samandar kar de..!!
"Sada Ambalvi"
No comments:
Post a Comment