Aankhon se teri zulf ka saaya nahin jaata,
Aaram jo dekha hai bhulaya nahin jaata,
Allah-re nadaan jawani ki umangein!
Jaise koi bazaar sajaya nahin jaata,
Aankhon se pilate raho saaghar mein na daalo,
Ab hum se koi jaam uthaya nahin jaata,
Bole koi hans kar to chhidak dete hain jaan bhi,
Lekin koi roothe to manaya nahin jaata,
Jis taar ko chhedein wahi fariyaad-ba-lab hai,
Ab hum se 'Adam' saaz bajaya nahin jaata.!!
"Abdul Hameed Adam"
No comments:
Post a Comment