Monday, July 30, 2018

Kaha Jo Main Ne Ke Yusuf Ko Ye Hijaab Na Tha

Kaha jo main ne ke yusuf ko ye hijaab na tha,
To hans ke bole wo munh qaabil-e-naqaab na tha..

Shab-e-wisaal bhi wo shokh be-hijaab na tha,
Naqaab ulat ke bhi dekha to be-naqaab na tha..

Lipat ke choom liya munh mita diya un ka,
Nahin ka un ke siwa is ke kuchh jawaab na tha..

Mere janaze pe ab aate sharm aati hai,
Halaal karne ko baithe the jab hijaab na tha..

Naseeb jaag uthe so gaye jo paanw mere,
Tumhaare kooche se behtar maqaam-e-khwab na tha..

Fhazab kiya ke ise tu ne mohtasib toda,
Are ye dil tha mera shisha-e-sharaab na tha..

Zamana wasl mein leta hai karwatein kya kya,
Firaaq-e-yaar ke din ek inqalaab na tha..

Tumhin ne qatl kiya hai mujhe jo tante ho, 
Akele the malak-ul-maut hum-rikaab na tha..

Dua-e-tauba bhi hum ne padhi to may pi kar,
Maza hi hum ko kisi shay ka be-sharaab na tha..

Main ru-e-yaar ka mushtaaq ho ke aaya tha,
Tere jamaal ka shaida to ai naqaab na tha..

Bayaan ki jo shab-e-ghum ki bekasi to kaha,
Jigar mein dard na tha dil mein iztiraab na tha..

Wo baithe baithe jo de baithe qatl-e-aam ka hukm,
Hansi thi un ki kisi par koi itaab na tha..

Jo laash bheji thi qaasid ki bhejte khat bhi,
Raseed wo to mere khat ki thi jawaab na tha..

Suroor-e-qatl se thi haath paanw ko jumbish,
Wo mujh pe wajd ka aalam tha iztiraab na tha..

Sabaat bahr-e-jahaan mein nahin kisi ko 'Ameer',
Idhar numood hua aur udhar hubaab na tha.!!

"Ameer Minaai"
_______________

Hum-rikaab = fellow travelers, contemporary,
Mushtaaq = desirous/ eager,
Itaab = temper, reprimand, reproach, anger,
Wajd = abandon, ecstasy, excessive love, rapture,
Sabaat = stability, durability,
Numood = show, display, appearance, sight,
Hubaab = water bubble,
____________________



کہا جو میں نے کہ یوسف کو یہ حجاب نہ تھا
تو ہنس کے بولے وہ منہ قابل نقاب نہ تھا..

شب وصال بھی وہ شوخ بے حجاب نہ تھا
نقاب الٹ کے بھی دیکھا تو بے نقاب نہ تھا.. 

لپٹ کے چوم لیا منہ مٹا دیا ان کا
نہیں کا ان کے سوا اس کے کچھ جواب نہ تھا..

مرے جنازے پہ اب آتے شرم آتی ہے
حلال کرنے کو بیٹھے تھے جب حجاب نہ تھا..

نصیب جاگ اٹھے سو گئے جو پاؤں مرے
تمہارے کوچے سے بہتر مقام خواب نہ تھا..

غضب کیا کہ اسے تو نے محتسب توڑا
ارے یہ دل تھا مرا شیشۂ شراب نہ تھا..

زمانہ وصل میں لیتا ہے کروٹیں کیا کیا
فراق یار کے دن ایک انقلاب نہ تھا..

تمہیں نے قتل کیا ہے مجھے جو تنتے ہو
اکیلے تھے ملک الموت ہم رکاب نہ تھا..

دعائے توبہ بھی ہم نے پڑھی تو مے پی کر
مزہ ہی ہم کو کسی شے کا بے شراب نہ تھا..

میں روئے یار کا مشتاق ہو کے آیہ تھا
ترے جمال کا شیدا تو اے نقاب نہ تھا..

بیان کی جو شب غم کی بیکسی تو کہا
جگر میں درد نہ تھا دل میں اضطراب نہ تھا..

وہ بیٹھے بیٹھے جو دے بیٹھے قتل عام کا حکم
ہنسی تھی ان کی کسی پر کوئی عتاب نہ تھا..

جو لاش بھیجی تھی قاصد کی بھیجتے خط بھی
رسید وہ تو مرے خط کی تھی جواب نہ تھا..

سرور قتل سے تھی ہاتھ پاؤں کو جنبش
وہ مجھ پہ وجد کا عالم تھا اضطراب نہ تھا..

ثبات بحر جہاں میں نہیں کسی کو امیرؔ
ادھر نمود ہوا اور ادھر حباب نہ تھا..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...