Thursday, March 29, 2018

Kuch Is Tarah Hun Hijr Ke Maaron Ke Darmiyan

Kuch Is Tarah Hun Hijr Ke Maaron Ke Darmiyan,
Jaise Falak Pe Chaand, Sitaaron Ke Darmiyan...

Aa Jaaye Dil Ka Dariya Jo Ek Baar Mauj Mein,
Rahta Hai Kab Simat Ke Kinaaron Ke Darmiyan...

Kuch Din Kisi Ke Qurb Ki Hiddat Naseeb Thi,
Kuch Din Raha Mein Surkh Chanaaron Ke Darmiyan...

Mujh Ko Meri Ana Pe Bahut Maan Tha, So Main,
Tanha Khada Hun Kitne Sahaaron Ke Darmiyan...

'Arshad' Zara Si Baat Par Itne Malool Ho,
Shikwe Gile To Hote Hain Yaaron Ke Darmiyan.!!
____________________

کچھ اس طرح ہوں ہجر کے ماروں کے درمیاں
جیسے فلک پہ چاند ، ستاروں کے درمیاں

آ جائے دل کا دریا جو اک بار موج میں
رہتا ہے کب سمٹ کے کناروں کے درمیاں

کچھ دن کسی کے قرب کی حدت نصیب تھی
کچھ دن رہا میں سرخ چناروں کے درمیاں

مجھ کو مری انا پہ بہت مان تھا سو میں
تنہا کھڑا ہوں کتنے سہاروں کے درمیاں

ارشد ذرا سی بات پر اتنے ملول ہو
شکوے گلے تو ہوتے ہیں یاروں کے درمیاں..

ارشد شاہین

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...