Kaaghaz kaaghaz dhool udegi fan banjar ho jayega,
Jis din sookhe dil ke aansu sab patthar ho jayega..
Tootengi jab neend se palkein so jaaunga chupke se,
Jis jangal mein raat padegi mera ghar ho jayega..
Khwabon ke ye panchhi kab tak shor karenge palkon par,
Shaam dhalegi aur sannata shaakhon par ho jayega..
Raat qalam le kar aayegi itni siyahi chhidkegi,
Din ka saara manzar-naama be-manzar ho jayega..
Nakhun se bhi int kuredein mil-jul kar hum-saaye to,
Aangan ki deewar na toote lekin dar ho jayega..
'Qaisar' ro lo ghazlein kah lo baaqi hai kuchh dard abhi,
Agli ruto'n mein yun lagta hai sab patthar ho jayega.!!
"Qaisar-ul-jafri"
No comments:
Post a Comment