Zehn mein kaun se aaseb ka dar baandh liya,
Tum ne poochha bhi nahin rakht-e-safar baandh liya..
Be-makaani ki bhi tahzeeb hua karti hai,
Un parindon ne bhi ek ek shajar baandh liya..
Raaste mein kahin gir jaaye to majboori hai,
Main ne daaman-e-darida mein hunar baandh liya..
Apne daaman pe nazar kar mere haathon pe na ja,
Main ne pathraao kiya tu ne samar baandh liya..
Ghar khula chhorh ke chupke se nikal jaaunga,
Shaam hi se sar-o-samaan-e-sahar baandh liya..
Umr bhar main ne bhi saahil ke qaside likkhe,
Mere bachchon ne bhi ek ret ka ghar baandh liya..
Haar bedard hawaon se na maani 'Qaisar',
Baadbaan phenk ke qadmon se bhanwar baandh liya.!!
"Qaisar-ul-jafri"
No comments:
Post a Comment