Tuesday, June 19, 2018

Wo Ek Khema-e-shab Jis Ka Naam Duniya Tha

Wo ek khema-e-shab jis ka naam duniya tha,
Kabhi dhuan to kabhi chaandni sa lagta tha..

Humari aag bhi taapi humein bujha bhi diya,
Jahaan padaaw kiya tha ajeeb sahra tha..

Hawa mein meri ana bheegti rahi warna,
Main aashiyane mein barsaat kaat sakta tha..

Jo aasman bhi toota gira meri chhat par,
Mere makaan se kisi bad-dua ka rishta tha..

Tum aa gaye ho khuda ka suboot hai ye bhi,
Qasam khuda ki abhi main ne tum ko socha tha..

Zameen pe toot ke kaise gira ghuroor us ka,
Abhi abhi to use aasman pe dekha tha..

Bhanwar lapet ke neeche utar gaya shayad,
Abhi wo shaam se pahle nadi pe baitha tha..

Main shaakh-e-zard ke maatam mein rah gaya 'Qaisar',
Khizaa'n ka zahar shajar ki jado'n mein phaila tha.!!

"Qaisar-ul-jafri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...