Tuesday, May 22, 2018

Zindagi Sirf Mohabbat To Nahin Hai

* Nazm *

Tamtamaye hue aariz pe ye ashkon ki qataar,

Mujh se is darja khafa aap se itni bezaar,

Main ne kab teri mohabbat se kiya hai inkaar,

Mujh ko ek lamha kabhi chain bhi aaya tujh bin,
Ishq hi ek haqeeqat to nahin hai lekin,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum...

Soch duniya se alag bhaag ke jayenge kahaan,

Apni jannat bhi basayen to basayenge kahaan,

Amn is aalam-e-afkaar mein payenge kahaan,

Phir zamane se nigaahon ka churana kaisa,
Ishq ki zid mein faraaiz ko bhulana kaisa,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum...

Teer-e-iflaas se kitno'n ke kaleje hain figaar,

Kitne seeno'n mein hai ghut ti hui aaho'n ka ghubaar,

Kitne chehre nazar aate hain tabassum ka mazaar,

Ek nazar bhool ke us samt bhi dekha hota,
Kuchh mohabbat ke siwa aur bhi socha hota,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum,

Ranj-e-ghurbat ke siwa jabr ke pahlu bhi to hain,

Jo tapakte nahin aankhon se wo aansu bhi to hain,

Zakhm khaaye hue mazdoor ke baazu bhi to hain,

Khaak aur khoon mein ghaltaa'n hain nazaare kitne,
Qalb-e-insaan mein dahakte hain sharare kitne,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum...

Arsa-e-dahr pe sarmaya o mehnat ki ye jang,

Amn o tahzeeb ke rukhsaar se udta hua rang,

Ye hukumat ye ghulami ye baghawat ki umang,

Qalb-e-aadam ke ye riste hue kohna naasoor,
Apne ahsaas se hai fitrat-e-insaan majboor,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum...

Aap ko band ghulami se chhudana hai humein,

Khud mohabbat ko bhi aazad banana hai humein,

Ek nayi tarz pe duniya ko sajaana hai humein,

Tu bhi aa waqt ke seene mein sharara ban ja,
Tu bhi ab arsh-e-baghawat ka sitara ban ja,

Zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum..!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...