Tuesday, May 22, 2018

Teri Peshani-e-rangeen Mein Jhalakti Hai Jo Aag

* Nazm *

Teri peshani-e-rangeen mein jhalakti hai jo aag,
Tere rukhsaar ke phoolon mein damakti hai jo aag,
Tere seene mein jawani ki dahakti hai jo aag,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!

Teri aankhon mein farozaa'n hain jawani ke sharaar,
Lab-e-gul-rang pe raqsaa'n hain jawani ke sharaar,
Teri har saans mein ghaltaa'n hain jawani ke sharaar,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!

Har ada mein hai jawaan aatish-e-jazbaat ki rau,
Ye machalte hue shoale ye tadapti hui lau,
Aa meri rooh pe bhi daal de apna partau,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!

Kitni mahroom nigaahein hain tujhe kya maloom,
Kitni tarsi hui baahein hain tujhe kya maloom,
Kaisi dhundli meri raahein hain tujhe kya maloom,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.! 

Aa ke zulmat mein koi noor ka saamaa'n kar lun,
Apne tareek shabistaa'n ko shabistaa'n kar lun,
Is andhere mein koi shama farozaa'n kar lun,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!

Baar-e-zulmat se seene ki faza hai bojhal,
Na koi saaz-e-tamanna na koi soz-e-amal,

Aa ke mash'al se teri main bhi jala lun mash'al,

Zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...