* Nazm *
Aaj bhi kitni an-ginat shaamein,
Mere seene mein jhilmilati hain..
Kitne aariz ki jhalkiyan ab tak,
Dil mein seemi'n waraq lutati hain..
Kitne heera-tarash jismo'n ki,
Bijliyan dil mein kaund jaati hain..
Kitni taaron se khush-numa aankhein,
Meri aankhon mein muskuraati hain..
Kitne honthon ki gul-fishaa'n aanchein,
Mere honthon mein sansanaati hain..
Kitni shab-taab reshmi zulfein,
Mere baazu pe sarsaraati hain..
Kitni khush-rang motiyon se bhari,
Baaliyan dil mein timtimaati hain..
Kitni gori kalaaiyon ki lawein,
Dil ke gosho'n mein jagmagati hain..
Kitni rangeen hatheliyaan chhup kar,
Dheeme dheeme kanwal jalaati hain..
Kitni aanchal se phoot ti kirnein,
Mere pahlu mein rasmasaati hain..
Kitni paayal ki shokh jhankaarein,
Dil mein chingariyaan udaati hain..
Kitni angdaaiyan dhanak ban kar,
Khud ubharti hain toot jaati hain..
Kitni gul-posh naqrai baanhein,
Dil ko halqe mein le ke gaati hain..
Aaj bhi kitni an-ginat shaamein,
Mere seene mein jhilmilaati hain..
Apne is jalwa-gar tasawwur ki,
Jaan-faza dilkashi se zinda hun..
In hi beete jawaan lamhon ki,
Shokh-taabindagi se zinda hun..
Yahi yaadon ki raushni to hai,
Aaj jis raushni se zinda hun..
Aao main tum se aitiraaf karun,
Main isi shaairi se zinda hun..!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
No comments:
Post a Comment