Aag bahtey huye paani mein lagaane aayi,
Tere khat aaj main dariya mein bahaane aayi,
Phir teri yaad naye khwaab dikhaane aayi,
Chaandni jheel ke paani mein nahaane aayi,
Din saheli ki tarah saath raha aangan mein,
Raat dushman ki tarah jaan jalaane aayi,
Mainey bhi dekh liya aaj use ghair ke saath,
Ab kahi'n ja ke meri aql Thikaane aayi,
Zindagi to kisi rahzan ki tarah thi 'anjum'
Maut rahbar ki tarah raah dikhaane aayi.!!
_ Anjum Rahbar
No comments:
Post a Comment