Tum ko bhula rahi thi ke tum yaad aa gaye,
Main zahr kha rahi thi ke tum yaad aa gaye,
Kal meri ek pyaari saheli kitaab mein,
Ek khat chhupa rahi thi ke tum yaad aa gaye,
Us waqt raat-raani mere soone sahn mein,
Khushboo lutaa rahi thi ke tum yaad aa gaye,
Eemaan jaaniye ki isey kufr jaaniye,
Main sar jhuka rahi thi ke tum yaad aa gaye,
Kal shaam chhat pe meer-taqi-'meer' ki ghazal,
Main gunguna rahi thi ke tum yaad aa gaye,
'Anjum' tumhaara shahar jidhar hai usi taraf,
Ek rail ja rahi thi ke tum yaad aa gaye..!!
_ Anjum Rahbar
No comments:
Post a Comment