Kuchh din se zindagi mujhe pahchaanti nahin,
Yoo'n dekhti hai jaise mujhe jaanti nahin,
Wo be-wafa jo raah mein takraa gaya kahi'n,
Kah dungi main bhi saaf ke pahchaanti nahin,
Samjhaaya baar-haa ke bacho pyaar-vyaar se,
Lekin koi saheli kahaa maanti nahin,
Mainey tujhe muaaf kiya jaa kahi'n bhi jaa,
Main buzdilo'n pe apni kamaa'n taanti nahin,
'Anjum' pe hans raha hai to hansta rahe jahaa'n,
Main bewaqoofiyo'n ka buraa maanti nahin..!!
_ Anjum Rahbar
No comments:
Post a Comment