Paayin har ek rahguzar par udaasiyan,
Nikli hui hain kab se safar par udaasiyan..
Khwabida shahr jaagne waala hai laut aao,
Baithi hui hain shaam se ghar par udaasiyan..
Main khauf se larazta raha padh nahin saka,
Phaili hui thin ek khabar par udaasiyan..
Suraj ke haath sabz qabaaon tak aa gaye,
Ab hain yahaan har ek shajar par udaasiyan..
Apne bhi khatt-o-khaal nigaahon mein ab nahin,
Is tarah chha gayi hain nazar par udaasiyan..
Phaila raha hai kaun kabhi sochta hun main,
Khwaabon ke ek ek nagar par udaasiyan..
Sab log ban gaye hain agar ajnabi to kya,
Chhod aayengi mujhe mere dar par udaasiyan.!!
"Ameer Qazalbash"
No comments:
Post a Comment