Tuesday, March 26, 2019

Bichhadte Lamhon Mein

Bichhadte Lamhon Mein
Us Ne Mujh Se Kaha Tha,

Dekho!
Humari Raahein Juda Juda Hain
Magar Humein Ek dusre Ka
Khyaal Rakhna Hai Zindagi Bhar,

Kisi Bhi Lamha Udaasiyon Ki
Faseel Haail Na Hone Dena..
Hawa Ke Haathon Pe Likhte Rahna
Judaaiyon Ke Tamaam Qisse,

Qadam Qadam Pe Jo Pesh Aaye
Wo Saanhe Bhi Nazar Mein Rakhna..

Main Jab Bhi Lauta
To Apne Honthon Ki Taazgi Ko
Tumhari Bujhti Hui Aankhon Pe La Rakhunga,
Jo Meri Apni Hain,  Sirf Meri..

Bichhadte Lamhon Mein Us Ne Mujh Se
Na Jaane Kya Kuch Kaha Suna Tha,

Aur!
Ab Us Se Bhi Yahi Kahega
Wo Jis Ke Haathon Mein Haath Daale
Naye Safar Pe Nikal Pada Hai.!!

بچھڑتے لمحوں میں
اس نے مجھ سے کہا تھا۔۔۔

دیکھو !
ہماری راہیں جدا جدا ہیں
مگر ہمیں ایک دوسرے کا
خیال رکھنا ہے زندگی بھر۔۔۔

کسی بھی لمحہ اداسیوں کی
فصیل حائل نا ہونے دینا
ہوا کے ہاتھوں پہ لکھتے رہنا
جدائیوں کے تمام قصے..

قدم قدم پہ جو پیش آئے
وہ سانحے بھی نظر میں رکھنا۔۔۔۔

میں جب بھی لوٹا تو
اپنے ہونٹوں کی تازگی کو
تمہاری بجھتی ہوئی آنکھوں پہ لا رکھوں گا
جو میری اپنی ہیں ، صرف میری

بچھڑتے لمحوں میں اس نے مجھ سے
نا جانے کیا کچھ کہا سنا تھا۔۔۔

اور !
اب اس سے بھی یہی کہے گا
وہ جس کے ہاتھوں میں ہاتھ ڈالے
نئے سفر پہ نکل پڑا ہے ۔۔۔۔۔۔۔

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...