Humare baare mein kya kya na kuchh kaha hoga,
Chalenge saath to duniya ka saamna hoga..
Wo ek shakhs jo patthar utha ke dauda tha,
Zaroor khwab ki kadiyaan mila raha hoga..
Humare baad ek aisa bhi daur aayega,
Wo ajnabi hi rahega jo teesra hoga..
Khizaa'n-pasand humein dhundhne ko nikle hain,
Humare dard ka qissa kahin suna hoga..
Jo har qadam pe mere saath saath rahta tha,
Zaroor koi na koi to waasta hoga..
Bahin hai khauf koi rahbaro'n se 'Aashufta',
Humare saath shikasto'n ka qaafila hoga.!!
"Aashufta Changezi"
No comments:
Post a Comment