Door tak phaila samandar mujh pe saahil ho gaya,
Laut kar jaana yahaan se aur mushkil ho gaya..
Daakhila mamnu likkha tha faseel-e-shahr par,
Padh to main ne bhi liya tha phir bhi daakhil ho gaya..
Khwab hi bazaar mein mil jaate hain ta'abeer bhi,
Pahle logo'n se suna tha aaj qaayel ho gaya..
Is hujoom-e-be-karaa'n se bhaag kar jaata kahaan,
Tum ne roka to bahut tha main hi shaamil ho gaya..
Pahle bhi ye sab manaazir rokte the is dafa,
Aisa kya dekha ke tujh se aur ghaafil ho gaya..
Ek mauqa kya mila khush-fahmiyan badhne lagin,
Raasta itna pasand aaya ke manzil ho gaya..
Aur kya deta bhala sahra-nawardi ka khiraaj,
Tu bacha tha ab ke tu bhi nazr-e-mahmil ho gaya.!!
"Aashufta Changezi"
__________
Khiraaj = paying obeisance,
No comments:
Post a Comment