Friday, August 10, 2018

Zindagi Ka Dard Le Kar Inqilaab Aaya To Kya

Zindagi ka dard le kar inqilaab aaya to kya,
Ek doshiza pe ghurbat mein shabaab aaya to kya..

Tishna-e-anwaar hai ab tak uroos-e-zindagi,
Baadalon ki paalki mein aaftaab aaya to kya..

Ab to aankhon par ghum-e-hasti ke parde pad gaye,
Ab koi husn-e-mujassam be-naqaab aaya to kya..

Phir wahi johd-e-musalsal phir wahi fikr-e-ma'ash,
Manzil-e-jaanaa se koi kaamyaab aaya to kya..

Ek tajalli se munawwar kijiye qasr-e-hayat,
Har tajalli par dil-e-khana-kharaab aaya to kya..

Baat jab hai ghum ke maaro'n ko jila de ai 'Shakeel',
Tu ye zinda mayyatein mitti mein daab aaya to kya.!!

"Shakeel Badayuni"
_______________

Doshiza = virgin girl, spinster,
Tishna-e-anwaar = thirsty for light,
Uroos-e-zindagi = bride of life,
Husn-e-mujassam = beauty incarnate,
Johd-e-musalsal = continuous effort,
Fikr-e-ma'ash = to be concerned about food, livelihood,
Qasr-e-hayat = castle of life,
____________________



زندگی کا درد لے کر انقلاب آیا تو کیا
ایک دوشیزہ پہ غربت میں شباب آیا تو کیا..

تشنۂ انوار ہے اب تک عروس زندگی
بادلوں کی پالکی میں آفتاب آیا تو کیا..

اب تو آنکھوں پر غم ہستی کے پردے پڑ گئے
اب کوئی حسن مجسم بے نقاب آیا تو کیا..

پھر وہی جہد مسلسل پھر وہی فکر معاش
منزل جاناں سے کوئی کامیاب آیا تو کیا..

اک تجلی سے منور کیجیے قصر حیات
ہر تجلی پر دل خانہ خراب آیا تو کیا..

بات جب ہے غم کے ماروں کو جلا دے اے شکیلؔ
تو یہ زندہ میتیں مٹی میں داب آیا تو کیا..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...