Friday, August 10, 2018

Un Ke Baghair Hum Jo Gulistaan Mein Aa Gaye

Un ke baghair hum jo gulistaan mein aa gaye,
Mahsoos ye hua ke bayabaan mein aa gaye..

Tashheer-e-dil-giriftagi-e-husn ho gayi,
Aansu chhalak ke chashm-e-pashemaan mein aa gaye..

Hum tark-e-rabt-o-zabt-e-mohabbat ke bawajood,
Sau baar khinch ke koocha-e-jaanaa mein aa gaye..

Phoolon ko raas aaya na jab arsa-e-bahaar,
Gulshan se hat ke gosha-e-daamaan mein aa gaye..

Har-chand ahl-e-hosh the arbaab-e-zindagi,
Lekin fareb-e-gardish-e-dauraa'n mein aa gaye..

Aaya meri zabaan pe yakayak jo un ka naam,
Kis kis ke haath mere garebaan mein aa gaye..

Chhup kar nigaah-e-shauq se dil mein panaah li,
Dil mein na chhup sake to rag-e-jaan mein aa gaye..

The muntashir azal mein jo zarraat-e-ku-e-dost,
Insaan ban ke aalam-e-imkaan mein aa gaye..

Jin ki ada ada mein hain ranaaiyan 'Shakeel',
Ash'aar ban ke wo mere deewaan mein aa gaye.!!

"Shakeel Badayuni"
_______________

Tashheer-e-dil-giriftagi-e-husn = propaganda of being ensnared in love,
Arsa-e-bahaar = duration of spring,
Gosha-e-daamaa'n = piece of the hem,
Arbaab-e-zindagi = masters of life,
Fareb-e-gardish-e-dauraa'n = deception of movement of times,
Rag-e-jaan = the jugular vein,
Muntashir = disorderly, divulged, diffused, scattered,
Zarraat-e-ku-e-dost = particles from street of beloved,
Aalam-e-imkaan = world of possibilities,
____________________



ان کے بغیر ہم جو گلستاں میں آ گئے
محسوس یہ ہوا کہ بیاباں میں آ گئے..

تشہیر دل گرفتگئ حسن ہو گئی
آنسو چھلک کے چشم پشیماں میں آ گئے..

ہم ترک ربط و ضبط محبت کے باوجود
سو بار کھنچ کے کوچۂ جاناں میں آ گئے..

پھولوں کو راس آیا نہ جب عرصۂ بہار
گلشن سے ہٹ کے گوشۂ داماں میں آ گئے..

ہر چند اہل ہوش تھے ارباب زندگی
لیکن فریب گردش دوراں میں آ گئے..

آیا مری زباں پہ یکایک جو ان کا نام
کس کس کے ہاتھ میرے گریباں میں آ گئے.. 

چھپ کر نگاہ شوق سے دل میں پناہ لی
دل میں نہ چھپ سکے تو رگ جاں میں آ گئے..

تھے منتشر ازل میں جو ذرات کوئے دوست
انسان بن کے عالم امکاں میں آ گئے..

جن کی ادا ادا میں ہیں رعنائیاں شکیلؔ
اشعار بن کے وہ مرے دیواں میں آ گئے..

2 comments:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...