Friday, August 10, 2018

Tum Ne Ye Kya Sitam Kiya Zabt Se Kaam Le Liya

Tum ne ye kya sitam kiya zabt se kaam le liya,
Tark-e-wafa ke baad bhi mera salaam le liya..

Rind-e-kharaab-nosh ki be-adabi to dekhiye,
Niyat-e-may-kashi na ki haath mein jaam le liya..

Haye wo paikar-e-hawas haye wo khugar-e-qafas,
Bech ke jis ne aashiyan halqa-e-daam le liya..

Baada-kashaan-e-ishq ko kuchh to mila paaye-sukoon,
Husn-e-sahar na le sake jalwa-e-shaam le liya..

Naama-e-shauq padh ke wo kho gaye yak-ba-yak 'Shakeel',
Munh se to kuchh na kah sake dil se payaam le liya.!!

"Shakeel Badayuni"
_______________

Rind-e-kharaab-nosh = bad, excessive drinker,
Paikar-e-hawas = lust incarnate,
Khugar-e-qafas = Habituated to cage,
Halqa-e-daam = loops; hoops of a net,
____________________



تم نے یہ کیا ستم کیا ضبط سے کام لے لیا
ترک وفا کے بعد بھی میرا سلام لے لیا..

رند خراب نوش کی بے ادبی تو دیکھیے
نیت مے کشی نہ کی ہاتھ میں جام لے لیا..

ہائے وہ پیکر ہوس ہائے وہ خوگر قفس
بیچ کے جس نے آشیاں حلقۂ دام لے لیا..

بادہ کشان عشق کو کچھ تو ملا پئے سکوں
حسن سحر نہ لے سکے جلوۂ شام لے لیا..

نامۂ شوق پڑھ کے وہ کھو گئے یک بیک شکیلؔ
منہ سے تو کچھ نہ کہہ سکے دل سے پیام لے لیا.. 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...