Nigah-e-naaz ka ek waar kar ke chhorh diya,
Dil-e-hareef ko bedaar kar ke chhorh diya..
Hui to hai yunhi tardeed-e-ahd-e-lutf-o-karam,
Dabi zabaan se iqraar kar ke chhorh diya..
Chhupe kuchh aise ke ta-zeest phir na aaye nazar,
Raheen-e-hasrat-e-deedar kar ke chhorh diya..
Mujhe to qaid-e-mohabbat azeez thi lekin,
Kisi ne mujh ko giraftaar kar ke chhorh diya..
Nazar ko jur'at-e-takmeel-e-bandagi na hui,
Tawaaf-e-koocha-e-dildaar kar ke chhorh diya..
Khusha wo kashmakash-e-rabt-e-baahami jis ne,
Dil o dimaagh ko bekaar kar ke chhorh diya..
Zahe-naseeb ki duniya ne tere ghum ne mujhe,
Masarrato'n ka talabgaar kar ke chhorh diya..
Karam ki aas mein ab kis ke dar pe jaaye 'Shakeel',
Jab aap hi ne gunahgaar kar ke chhorh diya.!!
"Shakeel Badayuni"
_______________
dil-e-hareef = heart of rival,
Tardeed-e-ahd-e-lutf-o-karam = confirmation of age of rewards and beneficence,
Raheen-e-hasrat-e-deedar = pledged to the desire to see,
Khusha = how fortunate, blessed, happy,
Zahe-naseeb = as good luck would have it,
_________________________
نگاہ ناز کا اک وار کر کے چھوڑ دیا
دل حریف کو بیدار کر کے چھوڑ دیا..
ہوئی تو ہے یوں ہی تردید عہد لطف و کرم
دبی زبان سے اقرار کر کے چھوڑ دیا..
چھپے کچھ ایسے کہ تا زیست پھر نہ آئے نظر
رہین حسرت دیدار کر کے چھوڑ دیا..
مجھے تو قید محبت عزیز تھی لیکن
کسی نے مجھ کو گرفتار کر کے چھوڑ دیا..
نظر کو جرأت تکمیل بندگی نہ ہوئی
طواف کوچۂ دلدار کر کے چھوڑ دیا..
خوشا وہ کشمکش ربط باہمی جس نے
دل و دماغ کو بیکار کر کے چھوڑ دیا..
زہے نصیب کہ دنیا نے تیرے غم نے مجھے
مسرتوں کا طلب گار کر کے چھوڑ دیا..
کرم کی آس میں اب کس کے در پہ جائے شکیلؔ
جب آپ ہی نے گنہ گار کر کے چھوڑ دیا..
No comments:
Post a Comment