Thursday, August 9, 2018

Nazar-nawaaz Nazaaron Mein Ji Nahin Lagta

Nazar-nawaaz nazaaron mein ji nahin lagta,
Wo kya gaye ke bahaaron mein ji nahin lagta..

Shab-e-firaaq ko ai chaand aa ke chamka de,
Nazar udaas hai taaro'n mein ji nahin lagta..

Ghum-e-hayat ke maare to hum bhi hain lekin,
Ghum-e-hayat ke maaro'n mein ji nahin lagta..

Na poochh mujh se tere ghum mein kya guzarti hai,
Yahi kahunga hazaaron mein ji nahin lagta..

Kuchh is qadar hai ghum-e-zindagi se dil mayoos,
Khizaa'n gayi to bahaaron mein ji nahin lagta..

Fasana-e-shab-e-ghum khatm hone waala hai,
'Shakeel' chaand sitaaron mein ji nahin lagta.!!

"Shakeel Badayuni"
____________________



نظر نواز نظاروں میں جی نہیں لگتا
وہ کیا گئے کہ بہاروں میں جی نہیں لگتا..

شب فراق کو اے چاند آ کے چمکا دے
نظر اداس ہے تاروں میں جی نہیں لگتا..

غم حیات کے مارے تو ہم بھی ہیں لیکن
غم حیات کے ماروں میں جی نہیں لگتا..

نہ پوچھ مجھ سے ترے غم میں کیا گزرتی ہے
یہی کہوں گا ہزاروں میں جی نہیں لگتا.. 

کچھ اس قدر ہے غم زندگی سے دل مایوس
خزاں گئی تو بہاروں میں جی نہیں لگتا..

فسانۂ شب غم ختم ہونے والا ہے
شکیلؔ چاند ستاروں میں جی نہیں لگتا..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...