Thursday, August 9, 2018

Nazar Se Qaid-e-ta'ayyun Uthaai Jaati Hai

Nazar se qaid-e-ta'ayyun uthaai jaati hai,
Tajalli-e-rukh-e-jaanaa dikhaai jaati hai.!

Jab un ko hausla-e-dil pe aitibaar nahin,
To phir nazar se nazar kyun milaai jaati hai.!

Khum-o-subu ki zaroorat ke hum nahin qaail,
Sharaab mast nazar se pilaai jaati hai.!

Sitam-nawazi-e-paiham hai ishq ki fitrat, 
Fuzool husn pe tohmat lagaai jaati hai.!

Bhula diya hai ghum-e-rozgaar ne jis ko,
Wo dastaan mujhe phir yaad aai jaati hai.!

'Shakeel' doori-e-manzil se na-ummid na ho,
Ab aai jaati hai manzil ab aai jaati hai.!!

"Shakeel Badayuni"
_______________

Qaid-e-ta'ayyun = condition of fixed time,
Tajalli-e-rukh-e-jaanaa = effulgence, lightening of beloved's face,
Khum-o-subu = Glass and goblet,
Sitam-nawazi-e-paiham = continuous tyranny,
____________________

نظر سے قید تعین اٹھائی جاتی ہے
تجلیٔ رخ جاناں دکھائی جاتی ہے..

جب ان کو حوصلۂ دل پہ اعتبار نہیں
تو پھر نظر سے نظر کیوں ملائی جاتی ہے..

خم و سبو کی ضرورت کے ہم نہیں قائل
شراب مست نظر سے پلائی جاتی ہے..

ستم نوازئ پیہم ہے عشق کی فطرت
فضول حسن پہ تہمت لگائی جاتی ہے..

بھلا دیا ہے غم روزگار نے جس کو
وہ داستاں مجھے پھر یاد آئی جاتی ہے..

شکیلؔ دورئ منزل سے ناامید نہ ہو
اب آئی جاتی ہے منزل اب آئی جاتی ہے..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...