Thursday, August 9, 2018

Lutf-e-nigah-e-naaz Ki Tohmat Uthaye Kaun

Lutf-e-nigah-e-naaz ki tohmat uthaye kaun,
Kuchh der ki bahaar ko khaatir mein laaye kaun..

Dil cheez kya hai dil se mohabbat jataye kaun,
Apna jo khud na ho use apna banaye kaun..

Tere huzoor tujh se khafa ho ke jaaye kaun,
Zakhm-e-dil-e-tabah pe nashtar lagaye kaun..

Maana hareem-e-naaz ke pardo'n mein hai koi,
Lekin hareem-e-naaz ke parde uthaye kaun..

Haan haan mujhe tumhaare taghaful ka ghum nahin,
Is daur-e-khudrawi mein kise aazmaye kaun..

Pad jaaye laakh waqt magar ye nahin qubool,
Main dekhta rahun ke mere kaam aaye kaun..

Kaisi bahaar kis ke sitare kahaan ke phool,
Jab tum nahin to deeda-o-dil mein kaun samaye kaun..

Zauq-e-amal na zauq-e-junoon har taraf sukoon,
Jannat agar yahi hai to jannat mein jaaye kaun..

Mahfil mein koi sokhta-jaan hi nahin 'Shakeel',
Soz-o-gudaza-e-shama pe aansu bahaye kaun.!!

"Shakeel Badayuni"
_______________

Hareem-e-naaz = abode of beloved,
Soz-o-gudaza-e-shama = passion and delicacy of lamp,
____________________

لطف نگاہ ناز کی تہمت اٹھائے کون
کچھ دیر کی بہار کو خاطر میں لائے کون..

دل چیز کیا ہے دل سے محبت جتائے کون
اپنا جو خود نہ ہو اسے اپنا بنائے کون..

تیرے حضور تجھ سے خفا ہو کے جائے کون
زخم دل تباہ پہ نشتر لگائے کون..

مانا حریم ناز کے پردوں میں ہے کوئی
لیکن حریم ناز کے پردے اٹھائے کون..

ہاں ہاں مجھے تمہارے تغافل کا غم نہیں
اس دور خودروی میں کسے آزمائے کون.. 

پڑ جائے لاکھ وقت مگر یہ نہیں قبول
میں دیکھتا رہوں کہ مرے کام آئے کون..

کیسی بہار کس کے ستارے کہاں کے پھول
جب تم نہیں تو دیدہ و دل میں کون سمائے کون..

ذوق عمل نہ ذوق جنوں ہر طرف سکوں
جنت اگر یہی ہے تو جنت میں جائے کون.. 

محفل میں کوئی سوختہ جاں ہی نہیں شکیلؔ
سوز و گداز شمع پہ آنسو بہائے کون..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...