Wednesday, August 1, 2018

Kaabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-e-butaa'n Ki Hai

Kaabe ki hai hawas kabhi ku-e-butaa'n ki hai..
Mujh ko khabar nahin meri mitti kahaan ki hai.!

Sun ke mera fasana unhein lutf aa gaya..
Sunta hun ab ke roz talab qissa-khwaa'n ki hai.!

Paigham-bar ki baat par aapas mein ranj kya..
Meri zabaan ki hai na tumhaari zabaan ki hai.!

Kuchh taazgi ho lazzat-e-aazaar ke liye..
Har dam mujhe talaash naye aasman ki hai.!

Jaa'n-bar bhi ho gaye hain bahut mujh se neem-jaan..
Kya ghum hai ai tabeeb jo poori wahaan ki hai.!

Hasrat baras rahi hai humare mazaar par..
Kahte hain sab ye qabr kisi naujawaan ki hai.!

Waqt-e-khiraam-e-naaz dikha do juda juda..
Ye chaal hashr ki ye rawish aasman ki hai.!

Fursat kahaan ke hum se kisi waqt tu mile..
Din ghair ka hai raat tere paasbaan ki hai.! 

Qaasid ki guftugu se tasalli ho kis tarah.. 
Chhupti nahin wo baat jo teri zabaan ki hai.!

Jaur-e-raqeeb o zulm-e-falak ka nahin khyaal..
Tashwish ek khaatir-e-na-mehrbaan ki hai.!

Sun kar mera fasana-e-ghum us ne ye kaha..
Ho jaaye jhooth sach yahi khoobi bayaan ki hai.!

Daaman sambhaal baandh kamar aasteen chadha..
Khanjar nikaal dil mein agar imtihaan ki hai.!

Har har nafas mein dil se nikalne laga ghubaar..
Kya jaane gard-e-raah ye kis karwaan ki hai.!

Kyunki na aate khuld se aadam zameen par..
Mauzoon wahin wo khoob hai jo sunte jahaan ki hai.!

Taqdeer se ye poochh raha hun ke ishq mein..
Tadbeer koi bhi sitam-e-na-gahaa'n ki hai.!

Urdu hai jis ka naam humin jaante hain 'Dagh',
Hindostan mein dhoom humari zabaan ki hai.!!

"Dagh Dehlvi"
_______________

Jaa'n-bar = beloved,
Neem-jaan = half dead,
Waqt-e-khiraam-e-naaz = time of beloved's promenade,
Rawish = pathway/manners/ style,
Paasbaan = watchman, sentinel, Guard, Keeper,
Tashwish = anxiousness/ apprehension,
Khaatir-e-na-mehrbaan = for unkind,
Mauzoon = well-balanced, well-adjusted, fit,
Sitam-e-na-gahaa'n = unexpected oppression/tyranny,
____________________



کعبے کی ہے ہوس کبھی کوئے بتاں کی ہے
مجھ کو خبر نہیں مری مٹی کہاں کی ہے.. 

سن کے مرا فسانہ انہیں لطف آ گیا
سنتا ہوں اب کہ روز طلب قصہ خواں کی ہے..

پیغام بر کی بات پر آپس میں رنج کیا
میری زبان کی ہے نہ تمہاری زباں کی ہے..

کچھ تازگی ہو لذت آزار کے لیے
ہر دم مجھے تلاش نئے آسماں کی ہے..

جاں بر بھی ہو گئے ہیں بہت مجھ سے نیم جاں
کیا غم ہے اے طبیب جو پوری وہاں کی ہے..

حسرت برس رہی ہے ہمارے مزار پر
کہتے ہیں سب یہ قبر کسی نوجواں کی ہے..

وقت خرام ناز دکھا دو جدا جدا
یہ چال حشر کی یہ روش آسماں کی ہے.. 

فرصت کہاں کہ ہم سے کسی وقت تو ملے
دن غیر کا ہے رات ترے پاسباں کی ہے..

قاصد کی گفتگو سے تسلی ہو کس طرح
چھپتی نہیں وہ بات جو تیری زباں کی ہے.. 

جور رقیب و ظلم فلک کا نہیں خیال
تشویش ایک خاطر نامہرباں کی ہے..

سن کر مرا فسانۂ غم اس نے یہ کہا
ہو جائے جھوٹ سچ یہی خوبی بیاں کی ہے.. 

دامن سنبھال باندھ کمر آستیں چڑھا
خنجر نکال دل میں اگر امتحاں کی ہے..

ہر ہر نفس میں دل سے نکلنے لگا غبار
کیا جانے گرد راہ یہ کس کارواں کی ہے..

کیونکہ نہ آتے خلد سے آدم زمین پر
موزوں وہیں وہ خوب ہے جو سنتے جہاں کی ہے.. 

تقدیر سے یہ پوچھ رہا ہوں کہ عشق میں
تدبیر کوئی بھی ستم ناگہاں کی ہے..

اردو ہے جس کا نام ہمیں جانتے ہیں داغؔ
ہندوستاں میں دھوم ہماری زباں کی ہے.. 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...