Junoon se guzarne ko ji chahta hai,
Hansi zabt karne ko ji chahta hai.!
Jahaan ishq mein doob kar rah gaye hain,
Wahin phir ubharne ko ji chahta hai.!
Wo hum se khafa hain hum un se khafa hain,
Magar baat karne ko ji chahta hai.!
Hai muddat se be-rang naqsh-e-mohabbat,
Koi rang bharne ko ji chahta hai.!
Ba-in khud-sari wo ghuroor-e-mohabbat,
Unhein sajda karne ko ji chahta hai.!
Qaza muzhda-e-zindagi le ke aaye,
Kuchh is tarah marne ko ji chahta hai.!
Nizaam-e-do-aalam ki ho khair ya rab,
Phir ek aah karne ko ji chahta hai.!
Gunah-e-mukarrar 'Shakeel' Allah Allah,
Bigad kar sanwarne ko ji chahta hai.!!
"Shakeel Badayuni"
_______________
Ba-in = with this,
Muzhda-e-zindagi = good news of life,
____________________
جنوں سے گزرنے کو جی چاہتا ہے
ہنسی ضبط کرنے کو جی چاہتا ہے..
جہاں عشق میں ڈوب کر رہ گئے ہیں
وہیں پھر ابھرنے کو جی چاہتا ہے..
وہ ہم سے خفا ہیں ہم ان سے خفا ہیں
مگر بات کرنے کو جی چاہتا ہے..
ہے مدت سے بے رنگ نقش محبت
کوئی رنگ بھرنے کو جی چاہتا ہے..
بہ ایں خود سری وہ غرور محبت
انہیں سجدہ کرنے کو جی چاہتا ہے..
قضا مژدۂ زندگی لے کے آئے
کچھ اس طرح مرنے کو جی چاہتا ہے..
نظام دو عالم کی ہو خیر یارب
پھر اک آہ کرنے کو جی چاہتا ہے..
گناہ مکرر شکیلؔ اللہ اللہ
بگڑ کر سنورنے کو جی چاہتا ہے..
No comments:
Post a Comment