Ihaanat-e-dil-e-sabr-azma nahin karte,
Buland hum bhi ye dast-e-dua nahin karte..
Sar ahl-e-ishq ke aksar jhuka nahin karte,
Agar jhuke bhi kahin phir utha nahin karte..
Wo baat un ki nigaahein bataye deti hain,
Jise wo apni zabaan se ada nahin karte..
Daleel-e-taabish-e-imaan hai kufr ka ahsaas,
Charaagh shaam se pahle jala nahin karte..
Ummid ahd-e-wafa aur un buto'n se 'Shakeel',
Jo bhool kar bhi kisi se wafa nahin karte.!!
"Shakeel Badayuni"
_______________
Ihaanat-e-dil-e-sabr-azma = insult of patience-testing of heart,
Daleel-e-taabish-e-imaan = argument of splendour of faith,
____________________
اہانت دل صبر آزما نہیں کرتے
بلند ہم بھی یہ دست دعا نہیں کرتے..
سر اہل عشق کے اکثر جھکا نہیں کرتے
اگر جھکے بھی کہیں پھر اٹھا نہیں کرتے..
وہ بات ان کی نگاہیں بتائے دیتی ہیں
جسے وہ اپنی زباں سے ادا نہیں کرتے..
دلیل تابش ایماں ہے کفر کا احساس
چراغ شام سے پہلے جلا نہیں کرتے..
امید عہد وفا اور ان بتوں سے شکیلؔ
جو بھول کر بھی کسی سے وفا نہیں کرتے..
No comments:
Post a Comment