Thursday, August 9, 2018

Is Darja Bad-gumaan Hain Khuloos-e-bashar Se Hum

Is darja bad-gumaan hain khuloos-e-bashar se hum,
Apno'n ko dekhte hain paraai nazar se hum..

Ghuncho'n se pyaar kar ke ye izzat humein mili,
Choome qadam bahaar ne guzre jidhar se hum..

Wallah tujh se tark-e-ta'alluq ke baad bhi,
Aksar guzar gaye hain teri rah-guzar se hum..

Sidq-o-safa-e-qalb se mahroom hai hayat,
Karte hain bandagi bhi jahannam ke darr se hum..

Uqba mein bhi milegi yahi zindagi 'Shakeel',
Mar kar na chhoot payenge is dard-e-sar se hum.!!

"Shakeel Badayuni"
_______________

Sidq-o-safa-e-qalb = Truth and purity of heart,
_____________________

اس درجہ بد گماں ہیں خلوص بشر سے ہم
اپنوں کو دیکھتے ہیں پرائی نظر سے ہم..

غنچوں سے پیار کر کے یہ عزت ہمیں ملی
چومے قدم بہار نے گزرے جدھر سے ہم..

واللہ تجھ سے ترک تعلق کے بعد بھی
اکثر گزر گئے ہیں تری رہگزر سے ہم..

صدق و صفائے قلب سے محروم ہے حیات
کرتے ہیں بندگی بھی جہنم کے ڈر سے ہم..

عقبیٰ میں بھی ملے گی یہی زندگی شکیلؔ
مر کر نہ چھوٹ پائیں گے اس درد سر سے ہم.. 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...