Wednesday, August 8, 2018

Hui Hum Se Ye Nadaani Teri Mahfil Mein Aa Baithe

Hui hum se ye nadaani teri mahfil mein aa baithe,
Zameen ki khaak ho kar aasman se dil laga baithe.!

Hua khoon-e-tamanna us ka shikwa kya karein tum se,
Na kuchh socha na kuchh samjha jigar par teer kha baithe.!

Khabar ki thi gulistaan-e-mohabbat mein bhi khatre hain,
Jahaan girti hai bijli hum usi daali pe ja baithe.!

Na kyun anjaam-e-ulfat dekh kar aansu nikal aayen,
Jahaan ko lootne waale khud apna ghar luta baithe.!!

"Shakeel Badayuni"
____________________



ہوئی ہم سے یہ نادانی تری محفل میں آ بیٹھے
زمیں کی خاک ہو کر آسمان سے دل لگا بیٹھے.. 

ہوا خون تمنا اس کا شکوہ کیا کریں تم سے
نہ کچھ سوچا نہ کچھ سمجھا جگر پر تیر کھا بیٹھے..

خبر کی تھی گلستان محبت میں بھی خطرے ہیں
جہاں گرتی ہے بجلی ہم اسی ڈالی پہ جا بیٹھے..

نہ کیوں انجام الفت دیکھ کر آنسو نکل آئیں
جہاں کو لوٹنے والے خود اپنا گھر لٹا بیٹھے..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...