Wednesday, August 8, 2018

Haye Is Majboori-e-zauq-e-nazar Ko Kya Karun

Haye is majboori-e-zauq-e-nazar ko kya karun,
Wo mujhe dekhein na dekhein main unhein dekha karun..

Husn ke husn-e-nadamat ka taqaza hai ke aaj,
Sidq-e-dil se phir yaqeen-e-waada-e-farda karun..

Main ne maana zameen-e-taskeen-e-dil hai tark-e-shauq,
Lekin apne waqiaat-e-zindagi ko kya karun..

Zindagi shayad azaaim-parwari ka naam hai,
Sochta hun har-nafas ab kya karun ab kya karun.!!

"Shakeel Badayuni"
____________________



ہائے اس مجبورئ ذوق نظر کو کیا کروں
وہ مجھے دیکھیں نہ دیکھیں میں انہیں دیکھا کروں..

حسن کے حسن ندامت کا تقاضا ہے کہ آج
صدق دل سے پھر یقین وعدۂ فردا کروں..

میں نے مانا ضامن تسکین دل ہے ترک شوق
لیکن اپنے واقعات زندگی کو کیا کروں..

زندگی شاید عزائم پروری کا نام ہے
سوچتا ہوں ہر نفس اب کیا کروں اب کیا کروں.. 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...