Wednesday, August 8, 2018

Ghum-e-aashiqi Se Kah Do Rah-e-aam Tak Na Pahunche

Ghum-e-aashiqi se kah do rah-e-aam tak na pahunche,
Mujhe khauf hai ye tohmat tere naam tak na pahunche.!

Main nazar se pi raha tha to ye dil ne bad-dua di,
Tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pahunche.!

Wo nawa-e-muzmahil kya na ho jis mein dil ki dhadkan,
Wo sada-e-ahl-e-dil kya jo awaam tak na pahunche.!

Mere taair-e-nafas ko nahin baghbaan se ranjish,
Mile ghar mein aab-o-daana to ye daam tak na pahunche.!

Nayi subah par nazar hai magar aah ye bhi darr hai,
Ye sahar bhi rafta rafta kahin shaam tak na pahunche.!

Ye ada-e-be-niyaazi tujhe bewafa mubarak,
Magar aisi be-rukhi kya ke salaam tak na pahunche.!

Jo naqaab-e-rukh utha di to ye qaid bhi laga di,
Uthe har nigah lekin koi baam tak na pahunche.!

Unhein apne dil ki khabrein mere dil se mil rahi hain,
Main jo un se rooth jaaun to payaam tak na pahunche.!

Wahi ek khamosh naghma hai 'Shakeel' jaan-e-hasti,
Jo zabaan par na aaye jo kalaam tak na pahunche.!!

"Shakeel Badayuni"
_______________

Nawa-e-muzmahil = weak voice,
_________________________

غم عاشقی سے کہہ دو رہ عام تک نہ پہنچے
مجھے خوف ہے یہ تہمت ترے نام تک نہ پہنچے..

میں نظر سے پی رہا تھا تو یہ دل نے بد دعا دی
ترا ہاتھ زندگی بھر کبھی جام تک نہ پہنچے..

وہ نوائے مضمحل کیا نہ ہو جس میں دل کی دھڑکن
وہ صدائے اہل دل کیا جو عوام تک نہ پہنچے..

مرے طائر نفس کو نہیں باغباں سے رنجش
ملے گھر میں آب و دانہ تو یہ دام تک نہ پہنچے..

نئی صبح پر نظر ہے مگر آہ یہ بھی ڈر ہے
یہ سحر بھی رفتہ رفتہ کہیں شام تک نہ پہنچے..

یہ ادائے بے نیازی تجھے بے وفا مبارک
مگر ایسی بے رخی کیا کہ سلام تک نہ پہنچے.. 

جو نقاب رخ اٹھا دی تو یہ قید بھی لگا دی
اٹھے ہر نگاہ لیکن کوئی بام تک نہ پہنچے..

انہیں اپنے دل کی خبریں مرے دل سے مل رہی ہیں
میں جو ان سے روٹھ جاؤں تو پیام تک نہ پہنچے..

وہی اک خموش نغمہ ہے شکیلؔ جان ہستی
جو زبان پر نہ آئے جو کلام تک نہ پہنچے.. 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...