Tuesday, July 17, 2018

Nigal Gaye Sab Ki Sab Samandar Zameen Bachi Ab Kahin Nahin Hai

Nigal gaye sab ki sab samandar zameen bachi ab kahin nahin hai,

Bachate hum apni jaan jis mein wo kashti bhi ab kahin nahin hai.!

Bahut dinon baad paai fursat to main ne khud ko palat ke dekha,

Magar main pahchanta tha jis ko wo aadmi ab kahin nahin hai.!

Guzar gaya waqt dil pe likh kar na jaane kaisi ajeeb baatein,

Waraq palat ta hun main jo dil ke to saadgi ab kahin nahin hai.!

Wo aag barsi hai dopahar mein ke saare manzar jhulas gaye hain,

Yahaan sawere jo taazgi thi wo taazgi ab kahin nahin hai.!

Tum apne qasbon mein ja ke dekho wahaan bhi ab shahr hi base hain.!

Ke dhundhte ho jo zindagi tum wo zindagi ab kahin nahin hai.!!

"Jawed Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...