Mujh ko yaqeen hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin..
Jab mere bachpan ke din the chaand mein pariyan rahti thin.!
Ek ye din jab apnon ne bhi hum se naata tod liya..
Ek wo din jab ped ki shaakhein bojh humara sahti thin.!
Ek ye din jab saari sadkein roothi roothi lagti hain..
Ek wo din jab aao khelein saari galiyan kahti thin.!
Ek ye din jab jaagi raatein deewaron ko takti hain..
Ek wo din jab shaamon ki bhi palkein bojhal rahti thin.!
Ek ye din jab zehn mein saari ayyaari ki baatein hain..
Ek wo din jab dil mein bholi-bhaali baatein rahti thin.!
Ek ye din jab laakhon ghum aur kaal pada hai aansu ka..
Ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaan bahti thin.!
Ek ye ghar jis ghar mein mera saaz-o-samaan rahta hai..
Ek wo ghar jis ghar mein meri boodhi naani rahti thin.!!
"Jawed Akhtar"
No comments:
Post a Comment