Main is ummid pe dooba ke tu bacha lega,
Ab is ke baad mera imtihaan kya lega...
Ye ek mela hai waada kisi se kya lega,
Dhalega din to har ek apna raasta lega...
Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaaunga,
Koi charaagh nahin hun ke phir jala lega...
Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye,
Jo be-amal hai wo badla kisi se kya lega...
Main us ka ho nahin sakta bata na dena use,
Lakeerein haath ki apni wo sab jala lega...
Hazaar tod ke aa jaaun us se rishta 'Waseem',
Main jaanta hun wo jab chahega bula lega.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment