Main ye nahin kahta ke mera sar na milega,
Lekin meri aankhon mein tujhe darr na milega...
Sar par to bithane ko hai tayyaar zamana,
Lekin tere rahne ko yahaan ghar na milega...
Jaati hai chali jaaye ye may-khane ki raunaq,
Kam-zarfon ke haathon mein to saaghar na milega...
Duniya ki talab hai to qana'at hi na karna,
Qatre hi se khush ho to samandar na milega.!!
"Waseem Barelwi"
__________
Qana'at = contentment,
No comments:
Post a Comment