Main apne khwab se bichhda nazar nahin aata,
To is sadi mein akela nazar nahin aata...
Ajab dabao hai un baahari hawaon ka,
Gharon ka bojh bhi uthta nazar nahin aata...
Main teri raah se hatne ko hat gaya lekin,
Mujhe to koi bhi rasta nazar nahin aata...
Main ek sada pe hamesha ko ghar to chhod aaya,
Magar pukaarne waala nazar nahin aata...
Dhuan bhara hai yahaan to sabhi ki aankhon mein,
Kisi ko ghar mera jalta nazar nahin aata...
Ghazal-saraai ka daawa to sab kare hain 'Waseem',
Magar wo 'Meer' sa lahja nazar nahin aata.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment