* Nazm *
__________
Main bhool jaaun tumhein ...
Ab yahi munasib hai,
Magar bhulaana bhi chahoon,
To kis tarah bhoolun...
Ke tum to phir bhi haqeeqat ho
koi khwaab nahin...
Yahaan to dil ka ye aalam hai,
Kya kahoon kambakht!
Bhula na paaya woh silsila
jo tha hi nahin...
Woh ek khyaal,
Jo awaaz tak gaya hi nahin...
Woh ek baat,
Jo main kah nahin saka tum se...
Woh ek rabt,
Jo hum main kabhi raha hi nahin...
Mujhe hai yaad woh sab,
Jo kabhi hua hi nahin..!!
"Jawed Akhtar"
No comments:
Post a Comment