Zindagi ki aandhi mein zehn ka shajar tanha,
Tum se kuchh sahaara tha aaj hun magar tanha...
Zakhm-khurda lamhon ko maslahat sambhaale hai,
An-ginat mareezon mein ek chaaragar tanha...
Boond jab thi baadal mein zindagi thi halchal mein,
Qaid ab sadaf mein hai ban ke hai gauhar tanha...
Tum fuzool baaton ka dil pe bojh mat lena,
Hum to khair kar lenge zindagi basar tanha...
Ek khilauna jogi se kho gaya tha bachpan mein,
Dhundhta phira us ko wo nagar nagar tanha...
Jhutpute ka aalam hai jaane kaun aadam hai,
Ek lahad pe rota hai munh ko dhhanp kar tanha.!!
"Jawed Akhtar"
No comments:
Post a Comment