Main aasman pe bahut der rah nahin sakta,
Magar ye baat zameen se to kah nahin sakta...
Kisi ke chehre ko kab tak nigah mein rakkhun,
Safar mein ek hi manzar to rah nahin sakta...
Ye aazmane ki fursat tujhe kabhi mil jaaye,
Main aankhon aankhon mein kya baat kah nahin sakta...
Sahaara lena hi padta hai mujh ko dariya ka,
Main ek qatra hun tanha to bah nahin sakta...
Laga ke dekh le jo bhi hisaab aata ho,
Mujhe ghata ke wo ginti mein rah nahin sakta...
Ye chand lamhon ki be-ikhtiyariyan hain 'Waseem',
Gunah se rishta bahut der rah nahin sakta.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment