Monday, July 2, 2018

Lahu Na Ho To Qalam Tarjumaan Nahin Hota

Lahu na ho to qalam tarjumaan nahin hota,
Humare daur mein aansu zabaan nahin hota...

Jahaan rahega wahin raushni lutayega,
Kisi charaagh ka apna makaan nahin hota...

Ye kis maqaam pe laai hai meri tanhaai,
Ke mujh se aaj koi bad-gumaan nahin hota...

Bas ek nigaah meri raah dekhti hoti,
Ye saara shahr mera mezbaan nahin hota...

Tera khyaal na hota to kaun samjhata,
Zameen na ho to koi aasmaan nahin hota...

Main us ko bhool gaya hun ye kaun maanega,
Kisi charaagh ke bas mein dhuan nahin hota...

'Waseem' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko,
Wo lafz hun jo kabhi dastaan nahin hota.!!

"Waseem Barelwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...