Monday, July 2, 2018

Kya Dukh Hai Samandar Ko Bata Bhi Nahin Sakta

Kya dukh hai samandar ko bata bhi nahin sakta,
Aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta...

Tu chhod raha hai to khata is mein teri kya,
Har shakhs mera saath nibha bhi nahin sakta...

Pyase rahe jaate hain zamane ke sawalaat,
Kis ke liye zinda hun bata bhi nahin sakta...

Ghar dhundh rahe hain mera raaton ke pujaari,
Main hun ke charaaghon ko bujha bhi nahin sakta...

Waise to ek aansu hi baha kar mujhe le jaaye,
Aise koi tufaan hila bhi nahin sakta.!!

"Waseem Barelwi"

5 comments:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...